I personally fully dedicated towards social, i want to do social service and help people.

Saturday, September 14, 2013

My Thought On Hindi Diwas


Hello Friends,


First of All, Happy Hindi Diwas to all!


Hindi Diwas
Aaj main iss blog ko Hindi main likhuga, yeh purna rup se Hindi nahi hai balki Hinglish hai, kyoki mere paas Hindi Keyboard nahi hai, aur mujhe Hindi main type karne ke liye bahut mehnat karna padega. Hindi diwas par main apni soch pure desh ke sath share karna chahta hu. 

Pehle 2 tweet jo maine kiya on Hindi Diwas, dekhiye zara:

My Tweet
Mere ek Dost ne mujhe salah di ki main isse Hindi main likhu- kaise.. pehle dekhiye ussne kya kha aur maine bhi kya uttar diya:




Aab aap mujhe yeh bataye ki Hindi main likhne ke liye main kya karu, agar main Hindi main likhna chahuga, toh mujhe kya kya jarurat padegi. Hamne aapne dainik jeevan ko iss tarah dhal rakha ki, har chiz main English hi issstemal hoti hai, computer se lekar, facebook se lekar Har website. Hamne isse Hindi ke according nahi dhala hai, aapne bata sakte hai kyo?

Kyoki, Hindi se jyada Saral Bhasha hum English ko samjhte hai, isliye har jagah hum English ka hi isstemal karte hai. 

Aab, Hame aapne bhasha ka issstemal badhana hoga, jaha bhi jarurat ho waha hum Hindi ka isstemal karege. Iska yeh matlab nahi ki hum aur dusre langauge ko chhod denge. Jaha tak Ho sake Hum Hindi ka hi isstemal kare..


Aapko main ek choti si baat batana chahuga, mere ma-papa abhi abhi Vellore se laute hai meri mummy ka ilaj karakar, mere papa ne kha ki, wo jo doctor tha wo hindi nahi bol raha tha, lekin wo bol sakta tha, usse hindi aati thi, but ussne bola nahi, wo janbhujhkar English hi bol raha tha, patient ko samajh aaye ya nahi aaye. 
Aab aap yeh bataye ki, jab patient ki bat wo samjh raha hai toh aapni baat kyo nahi samjha raha hai hindi main. Yeh haaal hai itne bade aaspatal ka. 
Aaab aap yeh sochiye ki, wo doctor English kyo bol raha tha, jab patient English nahi samjh pa rahe the. Main bus itna hi kehna chahta hu ki, hame aise jagah aisi bhasha ka isstemal bilkul nahi karna chahiye ki samne wala bilkul bhi nahi samjh paye.

Yeh meri blog padhiye jo maine pichle saal likhi thi:

Hindi language and its challenges and developments


Hame aapne dainik life main bhasha ke isstemal ko badalna hoga. Kripya karke aap aapna soch yaha niche prakat kare...:)

Download Hindi Fonts and how to write in hindi in word, i have written post on my website.

Popular Posts